Khamoshi...
“Badi khamosh aankho se wo dekhti rahi door tak jate hue rashte ko, sayad use bhi kisi k aane ka intezar tha, waqt gujarta raha yun hi til til, khwab phighalte rahe un aankho me magar umeed thi jo aane ki wo khattam hoti nhi thi…” Ek 25 ya 26 saal ki ladaki har roj apne kamare ki khidki pe chup chap baithi ghanto raat k khule aasman ko dekhti rahti thi, kabhi tut te taaro ko ginti to kabhi chand ko ek jagah se dusre jagah jaate dekh k kahti aaj phir jagah badal rahe ho…darsal anjuman ko ye aadat si ho gayi thi khule aasman k chand se baate karne ki, aksar uski aankhe raat bhar us tut te taare ko khojti rahti thi jisne usse lout aane ka waada kiya tha…main aksar raat me jab likhne baithta hu wo khidki pe baithi dikh jati hai… Badi badi aankho wali anjuman dekhne me kaafi sundar or sushil thi magar chhoti ummar me maa-baap ko khone ka gum sayad uske dil me ab bhi tha, halaki uske mama mami ne use kabhi is baat ki kami mahsus nhi hone di uske ma baap nhi hai wo use apni...