Khamoshi...



“Badi khamosh aankho se wo dekhti rahi door tak jate hue rashte ko, sayad use bhi kisi k aane ka intezar tha, waqt gujarta raha yun hi til til, khwab phighalte rahe un aankho me magar umeed thi jo aane ki wo khattam hoti nhi thi…”

Ek 25 ya 26 saal ki ladaki har roj apne kamare ki khidki pe chup chap  baithi ghanto raat k khule aasman ko dekhti rahti thi, kabhi tut te taaro ko ginti to kabhi chand ko ek jagah se dusre jagah jaate dekh k kahti aaj phir jagah badal rahe ho…darsal anjuman ko ye aadat si ho gayi thi khule aasman k chand se baate karne ki, aksar uski aankhe raat bhar us tut te taare ko khojti rahti thi jisne usse lout aane ka waada kiya tha…main aksar raat me jab likhne baithta hu wo khidki pe baithi dikh jati hai…

Badi badi aankho wali anjuman dekhne me kaafi sundar or sushil thi magar chhoti ummar me maa-baap ko khone ka gum sayad uske dil me ab bhi tha, halaki uske mama mami ne use kabhi is baat ki kami mahsus nhi hone di uske ma baap nhi hai wo use apni beti ki tarah hi pyar karte the ya yun kahe ki sayad anjuman hi thi unke khusiyo ki wajah…

suresh mama or sushila mami ki koi aulaad nhi thi isliye anjuman k mata pita ki mrityu k baab wo use apne sath delhi le aaye the or uski schooling or graduation bhi delhi se hi hui thi, anjuman ka swabhav kafi achha tha sab se ghul mil k rahna, baate karna khule vicharo wali ladki thi anjuman, Halaki anjuman college me kafi parchit thi students k beech me magar wo aksar apna time khali library me ya kuch dosto k sath baate karte hue bitati thi…

Anjuman k dosto me ek ladka bhi tha jiska naam Ashok tha, padhne me tezz samjhdar or responsible ladka tha magar thoda ajeeb kissam ka prani tha baki ladko se alag anjuman aksar use kahti thi ” sudhar ja Ashok warna NASA wale pakad k le jaenge” or phr sara group jor jor se hasane lagta..darasal ashok ka manna tha ki jo karo dil se karo phir kitna b kathin kaam kyou na ho or uski yahi aadat use sab se alag banati thi sayad isiliye wo anjuman ka dost b tha…

College khatam hone wale the aakhari dino ka mahoul saaf saaf nazar aa raha tha, kahi masti to kahi guidance lete students to kahi phir milne or bichadne ke waade iraade, isi beech ek din Ashok khusi se nachta hua Anjuman k pass aaya or kahne laga “Anju, mera visa clear ho gaya ab main further studies k liye US ja raha hu, M so happyyy..” anjuman ne use khusi se gale laga k congrats bola or bahut khus hui…magar andar andar hi dukhi bhi hui ku ki sayad Ashok se alag hona use raash nhi aaya magar wo karti bhi kya wo ashok ko rokna bhi nhi chahti thi or usse door bhi nhi jana chahti thi…Pyar sayad hota hi aisa hai jo kahi na kahi Ashok k liye janam le chuka tha Anjuman k dil me…

Roj ki tarah anjuman library me baith k books me kuch tatol rahi thi itne me Ashok uske pass aa k baith gaya, Anjuman ne Ashok ko dekha or phir apne kaam me masgoole ho gayi, Ashok ne pucha kya khoj rahi ho main kuch madat karu, na me mundi hilate hue anjuman ne dusri book uthai or khojne lagi, tabhi Ashok ne dekha ki books k panne bheege hue hai use kuch samjh nhi aaya or usne anjuman ka hanth padkte hue kaha ” mujhe bhi tum se door nhi jana hai, magar jana to hoga magar phir lout k aaunga promise..” sayad Ashok samajh gaya tha usse door hone ka gum anjuman books me kahi rakh k bhool jana chahti thi isliye panno ko ulati palti or book ko band kar k rakh deti thi…

Ankahi baato ka bhi alag maja hota hai, kah do to dil tut ne ka dar hota hai or na kaho to na samjha pane ki udaasi, sayad aisa hi kuch Ashok or Anjuman k beech me tha is waqt library ki khamoshi dono ki aankho pighalte armaano ki boondo ko khud me sametati rahi, yun to sare college me aakhri dino k jashan ka shor saaf saaf sunai de raha tha or jo ansuna rah gaya tha wo tha do dilo ki khamoshi jo Ashok or Anjuman apne sath liye ja rahe the….is umeed or Intezaar me ki waqt ka pahiya phir ghoomega or hum phir sath sath honge…..

Aakhir wo din aa hi gaya jab Ashok ko saat samundar paar jana tha ghar walo se nam aankho se alveeda lete hue wo airport ki taraf badh pada rashte me gujrate ped or piche chhutata uska ghar mano usi ki or dekh rahe ho, ashok ko baar baar Anjuman ki badi badi aankhe me bhare aansu or un aansuo me ghula pyar yaad aa raha tha, uski aankho me se Anjuman ka chehra hatne ka naam hi nhi le raha tha majboor ho ke usne anjuman ko call kiya or baate karne laga..magar tabhi ek roj ki aawaz aayi jisne anjuman ki har khusi har umeed ko hamesa k liye khamosh kar diya, ashok ki car ka accident ho gaya tha or sab k sab mare gaye…

Is hadse ko kareeban 3yrs ho gaye the Ashok k sath mano chahchahati Anjuman ki khusiya b chali gayi thi, roj raat ko Anjuman khidaki pe baith k kabhi chand se apne dil ki baate karti to kabhi ghanto intezar k motiyo ko aankho se bahne deti…or raat itni khamoshi se gujar jati mano zindagi ne tanhayi ki baho me sath chhod diya ho, khair main kar b kya sakta tha sayar hu bas uski khaireeyat mangte hue kalam dooba k uske aansuo me ek duwa main roj likh deta hu..khuda b ek din padh hi lega to sayad kabool ho jaye uski hansi…

”Is Kadar tut k judata hu har raat k baad, mano aab bikhr k simat aaya ho apne wajood me,tut ta b hu bikharta b hu bas teri umeed dil se mere jati nhi”



Comments

Popular posts from this blog

नज़्म