Khat...




Ek khat mila barso baad, likha bahut kuch tha, jo meri aankho ko khali kar gaya,
baato ka jikkar tha, beete kal ka jikkar tha, or sayad aate aate usme jikkar mera rah gaya....


Sard hawavo me coffee ka cup liye wahida chhat pe khadi ho k mano kohare me se nikalte sahar ko khoj rahi thi, thand k mousam me Delhi kohare ki aisi chaddar oodh k sota hai mano subah use uthna hi na ho..wahida Delhi k purane mohalle me sabse purani haveli me raha karti thi, yaha k log unhe wahida begum k naam se bulate the or mohalle me kafi izzat thi unki, tang galiyo wala ye mohalla apne mugali khan-paan or hindu muslim mix culture k liye jana jata tha sayad itihaas me bhi ye mohalla kisi mugal raja ya nawabo ki kothiyo k liye mashur raha hoga jiski jhalak aaj bhi dekhne ko mil jati hai.... yun to mohalla kafi purana hai or yaha k kuch log bhi jinho ne waqt k chadhte utarte pahluwo ko dekha or mahsus kiya tha, wahida bhi unhi kuch logo me se thi, chehre pe padi jhhuriyo me mano waqt ne zindagi ki parte chadha di ho, chasmo se bahar jhakti aankho me beeta hua kal saaf saaf nazar aata tha, wahida ki kahaniyo me bhi aksar unhi logo ka jikkar hota tha jo kabhi us mohalle me raha karte the, kabhi abdul ki kahani sunati thi to kabhi us pandit ki jo uski haveli k bagal wale ghar me raha karta tha...

Wahida dil ki bahut achhi thi magar bure haalat ne unhe thoda sakhat bana diya tha, magar phir bhi sab unhe bahut pasand kiya karte the, wahida ab akele hi raha karti thi or sayad unka koi tha bhi nahi ab is duniya me, wahida ek chhote se gauov me raha karti thi or pariwar me sabse chhoti hone ki wajah se bahut pyar milta tha, aaj wahida ka birthday hai or ghar me chahal pahal ka mahoul bana hua hai magar wahida ab bhi apne pita ka intezar kar rahi thi jo ki bagal wale sahar gaye hue the kaam se, kafi raat tak jab wahida k pita ghar na loute to bade bhai ne socha ki jara dekh ke aata hu aakhir pita ji kaha rah gaye bada bhai abhi ghar se nikala hi tha uske pita ji zakhami halat me ghar bhagte hue aaye or jarurat bhar ka samaan badhte hue sabko khidki darwaaje band karne ko kahne lage, kisi ko kuch samjh nahi aa raha aakhir hua kya hai, tab pita ji bataya ki dange suru ho gaye hai log ek dusre k khoon k liye pyaase hai, pariwar sahit jab ghar chhoda to pura gauov jal utha tha or zameen khoon se nahayi hui thi chhupate chhupaate sab apni jaan bacha ke bhagne me lage hue the, kuch mawadiyo ki nazar is pariwar pe pad chuki thi isliye wo apni nangi talwaaro ke sath inka pichha karne lage or dheere dheere pura pariwar zameen me padi laso me kahi khota raha, pura gauov ab jale hue malbe or laso dher k siva kuch baki tha to sirf andheri raat or logo ke chillane or pukarne ki aawaj jo ki ab chikho me badal gayi thi, pariwar k sath sath wahida bhi mout ke darwaaje pe khadi thi, khud ki jaan bachane ki zimmedari ab khud wahida pe thi pariwar k sabhi log khatam ho gaye the khoon se lathpath wahida andheri galiyo me khud bachati doud rahi thi, dari or sahmi wahida ne zindagi ka itna bura chehra kabhi nahi dekha tha, har taraf jalte log khoon se lathpath lasse khoon bhare ghar rashte or kaal doot k roop me piche pade kuch log, ab wahida ki saanse khatam hone lagi thi zindagi ko zinda rakhne ki umeed b andhere me kahi khone lagi thi, magar gauov ke pass wale railway station se jati hui train ki aawaz ne wahida me khud ko bachane ki umeed ko zinda kar diya or wo train ki taraf doud padi thi magar uske piche wo kaal doot bhi the jinse wo khud ko bacha rahi thi, sayad driver ki nazar wahida pe pad gayi thi isliye usne train ko roke rakhne ka khatra utha magar haalat kharab hote dekh usne bhi train start kar di or station se nikalne laga magar wahida ab bhi tarin ki umeed me doud rahi thi, halaki wahida ki saanse wahi station pe tut jati agar sahi waqt pe TT sahab ne use train k andar n khicha hota, train ke gate se wahida jalte hue apne gauov ko dekh rahi thi or waha hue us manzar ko bhi jo sayad wo phir kabhi nhi dekhna chahti thi, train ab apni raftar pe thi or piche chhutta ja raha tha zindagi ka wo bhayank chehra or wahida ka jalta hua bachpan jo ab sirf ek dard bhara or darawana sapna ban gaya tha..

TT sahab ne hi wahida ki dekh bhaal ki koi santan n hone ki wajah se TT sahab ne wahida ko apna hi samjha or bachho ke abhav me jiti apni patni ko bhi mano unhone zindagi de di ho, wahida ab badi ho gayi thi or usne doctorate ki padhai b puri kar li thi or wo ek hospital chalane lagi thi wahida ab phir akeli ho gayi thi kyou ki TT sahab or unki patni ab jinda na the magar wahida unhe hi apna maa-baap manti thi, wahida ki zindagi ne mano ummar bhar akele rahne ki kasam kha li jab bhi koi hanth thamta wo hanth chhut hi jata tha, Ek din wahida ke pass ek mariz aaya jo sayad bahut hi bimar or ghayal tha, wo wahida ke ummar ka hi tha sayad koi mushafir tha jo bhatak gaya tha, wahida ne uska bharpoor ilaaz kiya or kafi dino k ilaaz ke baad ab wo ek dum changa ho gaya tha hospital me jada suvidha na hone ki wajah se wahida uska apne ghar pe hi ilaaz or dekh bhal karti thi, sayad yahi wajah thi dono ke dil bhi milne lage the, wo mariz har roj ek khat likh ke deta tha wahida ko jise wahida bhi bade chhav se padha karti thi, ajeeb sa tha dono ka rishta masoomiyat or bharoshe pe khada ehsaas or ek dusre ke liye izzat ki dor se bandha tha ye rishta bas koi naam nahi tha is rishte ka riti riwaazo se pare, dikhawe se door kuch khas tha rishta, dil ki dor musafir se kuch yun ulajhi thi wahida ne musafir se shadi karne ki baat kahi magar musafir to hote hi hai jane ke liye, phir se lout aane ka waada kar ke itna kah ke gaya ki "jaha bhi rahunga sirf tere liye jiunga" wahida haveli ki chhat se khadi musafir ko jate hue or tanhayi ko phir se loutte hue dekh rahi thi, ab wahida ki ummar dhalne lagi thi magar intezar aaj bhi haveli ki chhat pe khada rashta dekhta rahta tha, wahida ko ab apni tanhayi se hi isqh ho chala tha, uska jada tar waqt hospital me ya apne kamre me likhte hue beetne laga tha, jab bhi foorsat milti to un purane khato ko padhne baith jati thi jo use jinda rakhe hue the, ab to wo kagaz bhi purane ho chale the thode fhat bhi gaye the magar wahida ke liye wo aaj bhi utne hi naye the jitne wo pahli baar me the, aaj bhi lamp ki roshni me ya shaam ki shard hawao me baith ke wahida pure dil se or usi chhav se un khato ko padha karti thi or muskurate hontho or nam aankho se ek ek lafaz ko padhti thi, ek shaam ki baat hai jab wahida hospital se ghar aayi to usne dekha ki table pe ek lifafa rakha hua hai or sath me ek khat bhi, usne lifafa uthaya to use uski khusboo jani pahchani lagi magar usne pahle chithhi padna munasib samjha,

"Ye mere suohar ne aap ke liye bheja hai, ummar bhar wo aap ki bate karte rahe, aap k naam se dhero khat likh likh k rakhte rahe, aap ke baare me jitni siddat se wo mujhe batate the mano aap unki har ek saans me ho, isliye unke likhe khato se bhara ye box or khas tyour se likha hua unka aakhari khat aap ko bhej rahi hu, umeed hai aap unki mohabbat ka haq atta karengi..."

bas itna hi likha tha us chithhi me or kuch nahi na bhejane wale ka pata na naam, wahida ne box khol ke dekha to uski aankhe bhar aayi, jis din se wo mushafir wahida se bichada tha us din se leke uski aakhari saans tak ke likhe hue khato se bhara tha box, wahi khusboo wahi likhawat shyahi me mano musafir ne apna dil rakh diya ho door hone ka dard or mohabbat dono saaf saaf jhalak raha tha, us din wahida ki aankho se wo pyar moti ban ke girne laga jiski khateer usne tanhayi se ummar bhar ka rishta chhod liya tha, wahida raat bhar roti rahi tadapti rahi magar na koi hanth tha na koi kandha jo uske aansoowo ko pochta ya use sahara deta, sath the to bas wo khat jinke sahare wo jinda thi, pure bistar pe bikhare bheege khat mano wahida ko rote dekh khud ro rahe ho.....

"Aain-e-Dil ye tujhko hua hai kya, kaise samjhau tujhe isqh ke kitne roop hai, masook bhi hai ye or mera kateel bhi, ab tu hi bata Dil-e-nadan aakhir teri raza hai kya"



Comments

Popular posts from this blog

Khamoshi...

नज़्म