Benaam kissa
Kitab-e-dil khole baitha hu, gam-e-shyahi liye baitha hu, ek yaad ko ek baat ko phir saffo me kaid karne baitha hu, kitne bechain hai alfaaz mere tere khyal bhar se aaj phir adhoore chand ko apni aankho me liye baitha hu....
Subah subah utha to chai pine ki talab lagi, alshaya sunday mano aaj pure mood me aaya tha aaram se befikkr ho k pade rahne k liye, magar mann kaha manta hai bina chai k subah subah jab kitchen me gaya to dekha dudh ka packet khatam ho gaya tha, hairan mat hoiye akelea rahta hu to bas jarurat bhar ka saman rakhta hu, jab dudh lene nikala to dekha bachhe sunday k din bhi jaldi uth k pure mohalle me sor macha rahe hai uchal kudh se dono mohallo ko ek kar rakha hai, bazar se wapas aate hue rashte me sakshi se mulakat ho gayi jo apni mummy k sath khel rahi thi, masum hansi aisi ki zindagi ka har gum chhota lagne lagata tha, sayad kisi ne sahi kaha hai nam aankho ki hansi bhi barsat ki tarah hai jo jalti hui zameen ko sukun deti hai, sayad sakshi bhi usi barsat ki tarah thi Aditi ki zindagi me,,,
Aditi ki duniya uski 8 saal ki beti sakshi me simti hui thi or sakshi ki duniya Aditi me ma beti me anokha rishta tha dono ek dusre ka sahara the,Rahul ko Aditi ki life se gaye lagbhag 5 saal ho gaye the or Rahul k jane k baad Aditi puri tarah se tut gayi thi or akele ho gayi thi sayad agar Sakshi na hoti to Aditi kab ka apna rishta zindagi se tod baithi hoti magar jaha use rahul k pyar ne toda tha wahi use sakshi ke pyar ne jinda rakha, Aditi ki dost ya yun kahe ki uska adha hissa sakshi thi bachho ko jis ummar me khilouno se khelna chahiye us ummar me sakshi ne apni ma ko hamesha khus rakhne ki jimmedari apne hantho me le rakhi thi, aditi jab bhi udas hoti dukhi hoti sakshi uska khayal ek maa k jaise rakhti apni gond me uska sir rakhti or use pariyo ki raja rani ki or bachpan aisi aisi kalpanao wali kahaniya banati ki aankho ko lazza aa jati thi rone se, dono ek durse me aise simat k dukh bant lete the ki pata hi nahi chalta tha kab gam aankho se hota hua hontho ki juthi hansi me kho gaya..
Sakshi ke dil me sirf Aditi hi rahti thi or umeed me rahul isliye use aisa lagta tha ki aane wale dino me sab thik ho jaega or wo phir se apne mummy pappa k sath rah paegi, na gulab mujrjhaye the na kagazo ki shyahi sukhi thi aksar Aditi ki aankho se giri kuch boonde un kagazo me rah jati thi jinne wo hamesa sakshi se chupa ke rakhati thi, zindagi bhi kitni ajeeb khel khel rahi thi ek taraf bita hua kal tha jise aditi sakshi k samne sahi waqt pe lana chahti thi or ek taraf aane wala kal jo sakshi ka future liye khada tha, or wo sawal bhi jo sakshi ne ab tak Aditi se nahi pucha tha, mano kal ki hi baat ho jab rahul or Aditi ki sadi hui thi dono pariwar bahut khus the or aditi or rahul b akhir college ka 5 saal purana pyar ab apni mukam pe tha sadi ke baad dono ki life kafi achhi thi dono job karte the pariwar ko piro ke rakha tha pyar me magar sadi ke 3 saalo ke baad se hi dono me anban kaha suni start ho gayi thi or baat is had tak pahuch gayi ki dono pariwar k rishte bhi kharab hone lage, magar rahul ander hi ander dukhi tha or Aditi ko such nhi batana chahta tha isliye wo kuch aisa karna chahta tha ki Aditi uske bandhan se azad ho jaye wo apne aane wale kal ko apne tarike se jina sure kar de, rahul ko blood cancer tha or uske pass sirf kuch saal ya yun kahe ki kuch mahine hi the isliye lakh samjhane pe bhi jab Aditi usse talak ke liye nahi mani to khud hi usse door chala gaya, magar dil kaha chhodta hai dil ko zindagi ke aakhiri dino me rahul ne apna sara time aditi ke pyar k naam kar diya hazaro khat likhta uske naam aankho ke pani ko zindagi ki hansi bana liya baitha tha Aditi or rahul ab aaine ke do hisse the jinhe ab totna manjoor tha magar tab tak sakshi 3 saal ki ho gayi thi or rahul ki majboori thi ki wo ab apni beti k sath jada din nhi rah paega or isi gam me wo itna tut gaya ki ek din Aditi ko or sab ko chhod k bahut door chala gaya or apne piche chhod gaya to sirf yaade or na hone ka khalipan....
Sakshi ko bachpan se Aditi ne yahi samjhaya tha ki pappa foreign gaye hai or kuch saalo me wapas aa jaenge magar wo ander hi ander janti thi ki aisa nhi hone wala, mere ghar k samne hi Aditi rahti hai isliye aksar zindagi ko muskurate or roop badlte dekhta hu, raato ko ma k liye chand ki roshni batorati beti ko or beti ki khateer muskurati ma ko dekhta hu, jab bhi zindagi se mann bhar jata hai tab apni khidaki pe baith k un do logo k pariwar ko dekhta hu jaha zindagi ne apne sare rang bikher rakhe hai apne mayne badal rakhe hai, aaj aditi ki sadi hai phir se hai 6 saal ke dard bhare intezar k baad sayad rahul phir apni beti se milne wapas aa gaya hai bs kisi or sakal me kisi roop me barso baad sukoon mila jab us ghar se maine gam ko kushi khusi jate dekha, zindagi k 6 saal maine chand ko raat bhar tanha dekha tha magar aaj khusiyo ki roshni me use bhi main hanste dekhta raha...
Comments
Post a Comment