Khat...
Ek khat mila barso baad, likha bahut kuch tha, jo meri aankho ko khali kar gaya, baato ka jikkar tha, beete kal ka jikkar tha, or sayad aate aate usme jikkar mera rah gaya.... Sard hawavo me coffee ka cup liye wahida chhat pe khadi ho k mano kohare me se nikalte sahar ko khoj rahi thi, thand k mousam me Delhi kohare ki aisi chaddar oodh k sota hai mano subah use uthna hi na ho..wahida Delhi k purane mohalle me sabse purani haveli me raha karti thi, yaha k log unhe wahida begum k naam se bulate the or mohalle me kafi izzat thi unki, tang galiyo wala ye mohalla apne mugali khan-paan or hindu muslim mix culture k liye jana jata tha sayad itihaas me bhi ye mohalla kisi mugal raja ya nawabo ki kothiyo k liye mashur raha hoga jiski jhalak aaj bhi dekhne ko mil jati hai.... yun to mohalla kafi purana hai or yaha k kuch log bhi jinho ne waqt k chadhte utarte pahluwo ko dekha or mahsus kiya tha, wahida bhi unhi kuch logo me se thi, chehre pe padi jhhuriyo me mano waqt ne zindagi ...