Ankaha Pyar..



"Ehsaas jane kaha se aate hai dil me, sayad inhe b tere hone ka ehsaas hai, ye yun tumhara akss bana lene ki aadat b badi ajeeb hai, bewajah hi kagazo me jaan bhar jati hai.."

Park me khelte bachho ki khil-khilahat or sor sare park me sunayi de raha tha, badi badi buildings me ghira ye park hi tha jaha har shaam ladies ghanto evening walk k naam pe ek dusre se baate kiya karti thi, bachhe bhi school se aate hi ghar se park ki taraf aise bhagte the mano Olympic ki koi race lagi ho, koi football le ke aata to koi cricket kit, shaam ke 5 baje nahi ki sari colony bachho ke chahal-pahal se bhar jati thi, padoshi ek dusare ka haal chaal puchne baith jate or kuch park ki taraf chal dete, yun to park me kuch khas tha nahi magar 3-4 residencies se ghira hone ki wajah se der raat tak park me chahal-pahal raha karti thi, park me aksar bachho or ladies ki bahumat jada hoti thi magar bujurag or kuch young age ke log bhi aaya karte the or inhi me se ek the Rajesh babu jo ek bade se office me manager ka kaam karte the, shvabhav se uttsahi or roop rang me bhi koi kami na thi, waise to rajesh apna jada time office me hi bitata tha magar office se aane k baad wo aksar isi park me aa ke bachho ko khelta hua dekhata ya colony ka koi mil jaye to usi k sath baith jata tha, rajesh ko likhne ka bhi soukh tha isliye wo aksar park me kuch khayal bunta or kagaz pe utaar deta tha wo likhata kafi achha tha isliye kai akhbaro me uske lekh chhapte the, magar job ki posting ke chalte wo is sahar me kuch hafto pahle hi aaya tha wo to sukkar ho company ne accommodation de diya warna bhagwan hi janta tha ki ghar milna kitna mushkil hone wala tha...

Har evening rajesh park me aata tha or ek nirdharit bench pe baitha karta tha or apni diary khol ke kuch likhta kuch phadta or aise hi tane bane ko bunta kuch khas likh jata, uske likhe ki tareef har koi karta tha phir chahe wo colony ke buddhe dada ho ya usi k hum ummar colony k dost, ek din jab shaam ko rajesh park me aaya to usne dekha ki uski bench pe aaj kuch ladkiyo ne kabzza kar liya hai is baat se use thoda ajeeb laga or gussa b aaya magar karta bhi kya chup chap ja k bagal wali bench me baith gaya or roj ki tarah kuch likhne ki kosish me lag gaya, kabhi wo park me khelte bachho ko apna vishay banata to kabhi colony pe koi kissa, halaki rajesh likhta achha tha magar use hamesha lagta tha ki kuch to kami hai uske likhe me, ab sooraj bhi alsaya hua badalo ki shidhiya utarne laga tha or bench ke pass wale bargad ke ped ki chhaya door tak jane lagi thi magar rajesh abhi tak kuch nhi likh paya tha sayad jagah chhin jane ki wajah se aaj kuch nahi likh paa raha tha isliye pheke huye kagaz ke tukado ko bina dustbin me daale hi apne ghar ki taraf chal diya..

Agali shaam jab rajesh roj ki tarah apni bench pe baith k likh ne zoojh me duba tha tabhi ek aawaz aayi suniye! aap ka hi naam rajesh agnohotri hai na? achanak ladki ki aawaz sunte hi rajesh ka dhyan tuta or aawaz ki taraf nazar doudate hue usne dekha ek 25-26 saal ki ladki jisne mahroom rang ka suit pana hua hai, bade bade baalo ki choti uske kamar ko chhu rahi thi, badi badi aankho ka kazal hi kafi tha kisi ko bhi sab kuch bhulane ke liye, rajesh us ladki ki sundarta ko nihar hi raha tha magar tabhi phir aawaz aayi "hello sir, mera naam rashami hai or ye meri saheli nandani hai"..nandani k piche se rashami ne bola is aawaz se rajesh ka dhyan tuta or uski nazar rashami pe padi or ha me seer hilate rajesh ne hami bhari, baato ka silshila suru karte hue rashami ne kaha ki kal maine aap ko park me dekha tha aap bagal wali bench pe baith k kuch likh rahe the, itne me hi rajesh tapak se bol utha ha aap logo ne hi kal meri jagah chhin li thi.. is baat pe rashami jor se khilkhila k hasne lagi, phir rashami batao ko badhate hue kaha "kal maine aap k pheke hue kuch kagaz k tukado ko padha tha must say aap likhte kafi achha hai or maine aap k kuch lekh paper me bhi padhe hai they are quite impressive" rajesh sunn to rashmi ki baate raha tha magar uska dhyan nandani pe laga raha jo waha ho k bhi waha nahi thi mano apni hi kisi duniya me khoyi ho, phir kal milne ka invitation dete hue rashami ne rajesh se alvida liya or dono chal pade, rajesh nandani ko tab tak dekhta raha jab tak wo uske aankho se oojhal nahi ho gayi..

Rajesh bhi utha or ghar ki taraf chal diya magar aaj kuch roj se bahut alag tha, rajesh ek ajeeb se khayal me dooba hua tha mano wo nandani ki aankho ki gahrayi ko puri kosis karne baad b nahi bhool pa raha tha, bar bar uske mann me nandani ka hi chehra ubhar raha tha uski wo anajani si hansi use majboor kar rahi thi nandani ke bare me sochne k liye, ab rashmi or uske dosto k sath rajesh ka ghulna milna suru ho gaya tha, ab rajesh k likhe ko sab sarahne lage the kabhi rajesh itna hasata ki logo ka pet dard ho jata tha to kabhi kuch aisa suna deta ki group me khamoshi or pyaar k siva kuch nahi bachta tha magar in sab k bawjood rajesh ka dhyan sirf nandani pe laga rahta tha kyuoki pure group me nandani hi aisi thi jo apni hi duniya me raha karti thi kabhi uski aankho se khusi jhalakti to kabhi aansuo se bane wo moti jinki kimat lagana duniya ka sab se kathin kaam tha, kuch to tha jo rajesh ko nandani ki taraf khich raha tha, din raat rajesh ab nandani k bare me hi sochta rahta tha...ek din rajesh ne socha ki aaj to main nandani se baat kar ke hi rahunga or isi soch k sath wo rashmi se milne nikal pada taki rashmi use nandani se mila sake, wo abhi bazar ke chourahe tak pahucha hi tha ki usne dekha ki nandani apni hi dhun me khoyi kahi ja rahi thi to rajesh bhi himmat kar ke uske piche piche chal diya kuch door jane k baad usne dekha ki nandani rehabilitation center ja rahi thi pahle to use kuch samjh nahi aaya magar wo piche piche center ke ander gaya or puch taajh karne laga phir usne jo bhi suna wo uske liye ajeeb or dukhad tha..

2 saal pahale ek plane crash hua tha jisme sare log mare gaye the bas ek passenger bach gaya tha or ye hadsaa itna dardnak or bhayanak hua tha ki hafato tak media me is dukhad ghatna ke bare me dikhaya gaya, nandani awasthi usi hadse me bachi hui ek louti passenger thi magar zindagi ka wasool hai kuch leke hi kuch deti hai, nandani k sath bhi yahi hua us hadse me bach jane k baad usne pure parivaar k sath sath sunne or bolne ki sakti bhi kho di thi ab wo ek aisi khubsurat murat ki tarah thi jisme saanse to thi magar zindagi mano aankho se hi bah jati ho uske aansuo ke sath, nandani ka sareer to zinda tha magar sayad andar se wo ek dum khatam si ho gayi thi, ek saal lag gaya tha use hospital ke bistar se uthne me uski aisi halat dekh ke use sahar ke hi rehabilitation center me bharti kar diya gaya tha jaha wo phir se jina sikh rahi thi waha uske jaise or bhi log the isliye is duniya se hat k usne wahi apni duniya basani suri kar di thi..ye sab sunn ke rajesh andar hi andar tut sa gaya or behad dukhi b hua or uska sapna bhi tut gaya tha nandani ko apne dil ki baat kah pane ka sapna..isliye wo waha se bhari hui aankho or khali udas mann liye wapash aa gaya or park me apni usi bench pe ja ke baith gaya jaha usne nandani ko pahli baar dekha tha...

Is baat ko 1 saal ho gaya hai rajesh aaj b park me har shaam aata hai usi bench pe baithta hai, ab use likhne ke liye jada mehnat nahi karni padati thi sayad use ab samjh aa gaya tha ki uske likhe me kis cheez ki kami hua karti thi, ek saal pahle nandani se anjaan mulaqkat ne rajesh ki kalam me itni gahrayi bhar di thi ki mano khud zindagi basti ho uski kalam me, nandani ka chehra uski muskurahat uska rang roop aksar rajesh ke likhe hue me kahi na kahi jhalak jata hai or rajesh ka wo ankaha pyar bhi jo wo kabhi nandani se nahi kah paya tha halaki ab rajesh ki shaadi ho chuki thi or wo khus bhi tha apni zindagi me magar uski kalam ko sayad ab bhi nandani ki hi talaash thi...aaj phir rajesh ek kagaz ko dustbin me phekana bhool gaya jab utha ke padha to bas itna hi likha tha

"Badi aarzoo se tera naam likhta hu kalam se in kagazo pe, sayad tu aaj bhi kahi baki hai kalam ki shyahi me, mushkurate nahi dekha tujhe kabhi magar yakin karo zindagi dekhi hai maine tere aansuo me"

Comments

Popular posts from this blog

Khamoshi...

नज़्म